اردو हिंदी
Sach agar puchho to na-paida hai yak-ru aashna | Shaahi Shayari
sach agar puchho to na-paida hai yak-ru aashna

Ghazal

Sach agar puchho to na-paida hai yak-ru aashna

Shaikh Zahuruddin Hatim

;

sach agar puchho to na-paida hai yak-ru aashna
sare aalam mein jo hon shayad to yak do aashna

hazir o ghaeb ho yaksan zahir o baatin ho saf
is tarah ka kam nazar aaya hai yaksu aashna

hum wo muKHlis hain ki aankhen dekhte guzri hai umr
ji nikal jawe jo ho hum se kaj-abru aashna

sare aalam se karun main tark rasm-e-dosti
mujh se howe ai mere dushman agar tu aashna

kis ke kuche mein tu ho nikli thi han sach kah nasim
tujh mein jo bu hai so hai muddat se ye bu aashna

jaan-ba-lab hun main to in yaron ki KHush-KHalqi ko dekh
hai maaz-allah jo ho sohbat mein bad-KHu aashna

ek bhi hum ne na dekha dost 'hatim' baad-e-marg
hai takalluf-bar-taraf ku yar aur ku aashna