sabhi to hain magar ab mehrban kahan hai koi
nazar mein pyar liye darmiyan kahan hai koi
ek apna sar hi nahin dil bhi main jhuka dunga
magar batao zara aastan kahan hai koi
sitamgari ki haden us ne toD Dali hain
hamari tarah magar be-zaban kahan hai koi
kabhi to pure shajar par tha apna kashana
hamare nam ka ab aashiyan kahan hai koi
tumhaari apni hi kashti Dubo na de tum ko
hawa hai tez magar baadban kahan hai koi
hamare panw tale ki zamin khinchte ho
hamare baad tumhaara jahan kahan hai koi
karoge ghaur to 'anjum' samajh mein aaega
zamin hai chaaron taraf aasman kahan hai koi

Ghazal
Sabhi to hain magar ab mehrban kahan hai koi
Mushtaq Anjum