sabab us ki pareshani ka main hun
namak ki fasl wo pani ka main hun
ye jangal mujh ko ras aana nahin hai
parinda dasht-e-imkani ka main hun
meri mushkil meri mushkil nahin hai
wasila teri aasani ka main hun
mujhe duniya luTa degi koi din
asasa aalam-e-fani ka main hun
abhi sahil mera rasta na dekhe
abhi dariya ki tughyani ka main hun
wahin mujh ko supurd-e-KHak karna
ki jis KHak-bayani ka main hun
mere hone ka kuchh matlab to hoga
to kya bekar be-mani ka main hun
faqirana tabiat ka hun warna
talab haqdar sultani ka main hun
Ghazal
Sabab uski pareshani ka main hun
Khurshid Talab