saba mein mast-KHirami gulon mein bu na rahe
tera KHayal agar dil ke ru-ba-ru na rahe
tere baghair har ek aarzu adhuri hai
jo tu mile to mujhe koi aarzu na rahe
hai justuju mein teri ek jahan ka dard-o-nishat
to kya ajab ki koi aur justuju na rahe
teri talab se ibarat hai soz-o-hayat
ho sard aatish-e-hasti jo dil mein tu na rahe
tu zauq-e-kam-talabi hai to aarzu ka shabab
hai yun ki tu rahe aur koi justuju na rahe
kitab-e-umr ka har bab be-maza ho jae
jo dard main na rahun aur dagh tu na rahe
KHuda kare na wo uftad aa paDe hum par
ki jaan-o-dil rahen aur teri aarzu na rahe
tere KHayal ki mai dil mein yun utari hai
kabhi sharab se KHali mera subu na rahe
wo dasht-e-dard sahi tum se wasta to rahe
rahe ye saya-e-gesu-e-mushk-bu na rahe
karo hamare hi daghon se raushni tum bhi
baDa hai dard ka rishta dui ki bu na rahe
nahin qarar ki lazzat se aashna ye wajud
wo KHak meri nahin hai jo ku-ba-ku na rahe
is iltihab mein kaise ghazal-sara ho koi
ki saz-e-dil na rahe KHu-e-naghma-ju na rahe
safar tawil hai is umr-e-shoala-saman ka
wo kya kare jise jine ki aarzu na rahe

Ghazal
Saba mein mast-KHirami gulon mein bu na rahe
Sajida Zaidi