saba gulon ki har ek pankhuDi sanwarti hai
ajib Dhang se ye aarti utarti hai
ufuq pe phir ubhar aae hain tirgi ke nasheb
umid jiti hui dil ki bazi haarti hai
lahak ke guzri hai kuchh yun murad ki KHushbu
ki ruh phir dil-e-hassas ko pukarti hai
KHamosh shahr ki sunsan sard raaton mein
tumhaari yaad mere sath shab guzarti hai
charagh-e-hasrat-o-arman jalaoge kaise
hawa-e-dahr to rah rah ke phunk marti hai
sajae hain baDi mushkil se 'rind' palkon par
jinhen tum ashk samajhte ho dil ki aarti hai

Ghazal
Saba gulon ki har ek pankhuDi sanwarti hai
Rind Saghari