اردو हिंदी
Sab umr to jari nahin rahta hai safar bhi | Shaahi Shayari
sab umr to jari nahin rahta hai safar bhi

Ghazal

Sab umr to jari nahin rahta hai safar bhi

Bismil Aghai

;

sab umr to jari nahin rahta hai safar bhi
aata hai kisi din to bashar lauT ke ghar bhi

manzil to baDi shai na mili rahguzar bhi
bandha tha baDe shauq se kya raKHt-e-safar bhi

andar se phahonde hue diwar bhi dar bhi
dekhe hain baDe logon ke hum ne baDe ghar bhi

har samt hai virani si virani ka aalam
ab ghar sa nazar aane laga hai mera ghar bhi

tanhai-pasand itna bhi mat ban ye samajh le
tanhai mein hai chain to tanhai mein Dar bhi

pagal hai pata puchh raha hai mere ghar ka
kya KHana-ba-doshon ka hua karta hai ghar bhi