sab pighal jae tamasha wo idhar kab hoga
mom ke shahr se suraj ka guzar kab hoga
KHwab kaghaz ke safine hain bachaen kaise
KHatm is aag ke dariya ka safar kab hoga
jis ka naqsha hai mere zehn mein ek muddat se
ghar wo tamir se pahle hi khanDar kab hoga
mere khoe hue mahwar pe jo pahunchae mujhe
ab lahu mein mere paida wo bhanwar kab hoga
sabz rakkha hai jise main ne lahu de ke 'qamar'
mehrban dhup mein aaKHir wo shajar kab hoga

Ghazal
Sab pighal jae tamasha wo idhar kab hoga
Qamar Iqbal