sab mujhe be-sar-o-pa kahte hain
ai mohabbat ise kya kahte hain
jo kuchh us but ko barahman ne kaha
hum kahin us se siwa kahte hain
main jo roun use kahte hain maraz
wo hanse us ko dawa kahte hain
jhuk ke qatil ko munasib hai salam
is ko taslim-o-raza kahte hain
kya hua kahiye jo us but ko KHuda
log bandon ko KHuda kahte hain
katib aa jae to qasid na mile
use qismat ka likha kahte hain
'rashk' se baat bhi karte nahin aap
kahiye is baat ko kya kahte hain
Ghazal
Sab mujhe be-sar-o-pa kahte hain
Meer Ali Ausat Rashk