sab ko duniya ki hawas KHwar liye phirti hai
kaun phirta hai ye murdar liye phirti hai
ghar se bahar na nikalta kabhi apne KHurshid
hawas-e-garmi-e-bazar liye phirti hai
wo mere aKHtar-e-tale ki hai wazhun gardish
ki falak ko bhi nigun-sar liye phirti hai
kar diya kya tere abru ne ishaara qatil
ki qaza hath mein talwar liye phirti hai
ja ke ek bar na phirna tha jahan wan mujh ko
be-qarari hai ki sau bar liye phirti hai
Ghazal
Sab ko duniya ki hawas KHwar liye phirti hai
Sheikh Ibrahim Zauq