sab ki maujudgi samajhta hai
dil kisi ki kami samajhta hai
ek hi shaKHs se main waqif hun
jo mujhe ajnabi samajhta hai
go mujhe jaanta nahin lekin
wo meri shairi samajhta hai
wasl ke ashk hijr ke aansu
wo nami ko nami samajhta hai
wahi meri zaban se hai waqif
jo meri KHamushi samajhta hai
aap ke samne main KHush hun magar
mere dukh ram hi samajhta hai
yahi urdu zaban ka hai jadu
ab mujhe har koi samajhta hai
main use baat dil ki kahta hun
wo use shairi samajhta hai
itna nadan bhi nahin hai wo
jo tumhaari hansi samajhta hai
kaun 'mahtab' ab tumhaara hai
kaun dil ki lagi samajhta hai
Ghazal
Sab ki maujudgi samajhta hai
Bashir Mehtaab