اردو हिंदी
Sab ki aankhen to khuli hain dekhta koi nahin | Shaahi Shayari
sab ki aankhen to khuli hain dekhta koi nahin

Ghazal

Sab ki aankhen to khuli hain dekhta koi nahin

Rana Gannauri

;

sab ki aankhen to khuli hain dekhta koi nahin
sans sab ki chal rahi hai ji raha koi nahin

main sisakne ki sadaen sun raha hun bar bar
aap kahte hain ki ghar mein dusra koi nahin

zindagani ne liye go imtihan-dar-imtihan
zindagani se mujhe phir bhi gila koi nahin

koi to aaKHir chalata hai nizam-e-do-jahan
kaise mumkin hai KHudai hai KHuda koi nahin

meri sari koshishon ke kawishon ke bawajud
mere sare kaam bigDe hain bana koi nahin