sab ke liye sawal ye kab hai ki kya na ho
un ko to mujh se zid hai ki mera kaha na ho
un ko mera wo bazm mein chhup-chhup ke dekhna
aur ye bhi dekhna ki koi dekhta na ho
har ek se puchhta bhi hun un ka pata magar
dil ye bhi chahta hai kisi ko pata na ho

Ghazal
Sab ke liye sawal ye kab hai ki kya na ho
Raees Rampuri