اردو हिंदी
Sab ka chehra pas-e-diwar-e-ana rahta hai | Shaahi Shayari
sab ka chehra pas-e-diwar-e-ana rahta hai

Ghazal

Sab ka chehra pas-e-diwar-e-ana rahta hai

Sultan Akhtar

;

sab ka chehra pas-e-diwar-e-ana rahta hai
aaine se yahan har shaKHs KHafa rahta hai

phir bhi hum log wahan jite hain jine ki tarah
mausam-e-qahr jahan Thahra hua rahta hai

us ke aane ki ab ummid nahin hai raushan
phir bhi darwaza-e-dil hai ki khula rahta hai

rang-e-tabir chamakta hi nahin aankhon mein
raat bhar KHwab ka bazar saja rahta hai

bas usi aks se KHaif hai har ek shaKHs yahan
aaina-KHane mein jo chehra-numa rahta hai

KHana-e-dil pe hukumat hai usi ki 'aKHtar'
ye alag baat ki wo mujh se KHafa rahta hai