saya-e-zulf siyah-fam kahan tak pahunche
jaane ye silsila-e-sham kahan tak pahunche
dur ufuq par sahi pa to liya hai tujh ko
dekh hum le ke tera nam kahan tak pahunche
ye sisakti hui raaten ye bilakte manzar
hum bhi ai saya-e-gulfam kahan tak pahunche
na kahin saya-e-gul hai na kahin zikr-e-habib
aur ab gardish-e-ayyam kahan tak pahunche
hum to ruswa the magar un ki nazar bhi na bachi
hum pe aae hue ilzam kahan tak pahunche
mutmain garmi-e-ehsas-e-jafa se bhi nahin
dil ko pahunche bhi to aaram kahan tak pahunche
un ki aankhon ko diye the jo meri aankhon ne
kis se puchhun ki wo paigham kahan tak pahunche
Ghazal
Saya-e-zulf siyah-fam kahan tak pahunche
Qateel Shifai