sawan ki purwai ne kya dukhti choT dikhai hai
kaise aansu umDe hain jab yaad tumhaari aai hai
aankh se ojhal ho kar dil ko apni yaad dilai hai
dil hi mein aa baiThe ho ye aur qayamat Dhai hai
aahen sard hui jati hain tum aae ho ya subh hui
chand ki rangat phiki hai taron pe udasi chhai hai
ek sannaTa sa tari hai chaar-pahar ke taDke se
KHair to hai ye aaj mariz-e-hijr ne kya Thahrai hai
duniya ka dastur yahi hai dil yun kab tak roega
in achchhi surat walon ne kis se pit nibhai hai
baadal chiKH uTha hai bijli TuT paDi hai tharra kar
jab hum ne apni barsi-barsai aankh uThai hai
jism ke andar dil ki bechaini se ye malum hua
is ghar mein sab chizen apni hain ye chiz parai hai
ab marna bhi mushkil hai wo puchh rahe hain baalin par
kis ne us ko yaad kiya hai kaisi hichki aai hai
tum aaKHir kyun kuDhte ho 'talib' ke rone-dhone par
duniya is par hansti hai sab kahte hain saudai hai

Ghazal
Sawan ki purwai ne kya dukhti choT dikhai hai
Talib Baghpati