sari KHilqat ek taraf thi aur diwana ek taraf
tere liye main panw pe apne jam ke khaDa tha ek taraf
ek ek kar ke har manzil ki samt hi bhul raha tha main
dhire dhire khinch raha tha tera rishta ek taraf
donon se main bach kar tere KHwab-o-KHayal se guzar gaya
dil ka sahra ek taraf tha aankh ka dariya ek taraf
aage aage bhag raha hun ab wo mere pichhe hai
ek din teri chah mein ki thi main ne duniya ek taraf
dusri jaanib ek baadal ne baDh kar Dhanp liya tha chand
aur aankhon mein Dub raha tha dil ka sitara ek taraf
waqt-juari ki baiThak mein jo aaya so haar gaya
'aKHtar' ek din main bhi daman jhaD ke nikla ek taraf
Ghazal
Sari KHilqat ek taraf thi aur diwana ek taraf
Akhtar Shumar