sare zaKHmon ko zaban mil gai gham bolte hain
hum magar zarf se majbur hain kam bolte hain
kis qadar toD diya hai use KHamoshi ne
koi bole wo samajhta hai ki hum bolte hain
kya ajab log the guzre hain baDi shan ke sath
raste chup hain magar naqsh-e-qadam bolte hain
waqt wo hai ki KHuda KHair, ba-nam-e-iman
dair walon ki zaban ahl-e-haram bolte hain
kahte hain zarf ka sauda nahin karte hum log
kis qadar jhuT ye sab ahl-e-qalam bolte hain
kahin rahte hain dar-o-baam nadamat se KHamosh
bikhri inTon mein kahin jah-o-hasham bolte hain
baat bhi karte hain ehsan jatane ki tarah
kaise lahje mein ye ab ahl-e-karam bolte hain
kaun ye pursish-e-ahwal ko aaya 'tariq'
lab hain KHamosh magar dida-e-nam bolte hain
Ghazal
Sare zaKHmon ko zaban mil gai gham bolte hain
Tariq Qamar