sare chaman ko dasht mein tabdil kar gae
be-dard the jo ain jawani mein mar gae
malbus-e-ahl-e-hosh ka mear dekh kar
diwane be-libas daraKHton se Dar gae
shayad udasiyon pe taras aa gaya meri
kal raat shahr-e-jaan mein farishte utar gae
sunte hain un pe nur barasta hai aaj tak
jin wadiyon se ho ke tere KHush-nazar gae
hum sar-phire bhi KHub the ai 'dil' ki ishq mein
namus-o-nang-o-nam bhi qurban kar gae
Ghazal
Sare chaman ko dasht mein tabdil kar gae
Dil Ayubi

