اردو हिंदी
Sare aalam mein nur hai tera | Shaahi Shayari
sare aalam mein nur hai tera

Ghazal

Sare aalam mein nur hai tera

Mirza Asman Jah Anjum

;

sare aalam mein nur hai tera
har jagah par zuhur hai tera

sharq se gharb qaf se ta-qaf
tazkira dur dur hai tera

dil-e-ashiq ko kyun jalata hai
ye bhi kya koh-e-tur hai tera

main kahan aur tera nam kahan
sab karam ka wafur hai tera

shab-e-furqat ko kyun daraaz kiya
kya ye roz-e-nushur hai tera

us sitamgar ka kya karen shikwa
o re dil sab qusur hai tera

rahm kar aasman pe ai bari
banda-e-pur-qusur hai tera

is ko kahte hain anjum-e-asi
nam rabb-e-ghafur hai tera