saqiya tanz na kar chashm-e-karam rahne de
mere saghar mein agar kam hai to kam rahne de
ishq-e-awara ko mahrum-e-karam rahne de
apne mathe pe shikan zulf mein KHam rahne de
tu zamane ko miTata hai miTa de lekin
ishq ki rah mein kuchh naqsh-e-qadam rahne de
mere uljhe hue haalat ghanimat hain mujhe
dil ki baaton mein na aa pursish-e-gham rahne de
aashiyan phunk ke takmil-e-charaghan kar de
fasl-e-gul aai hai gulshan ka bharam rahne de
zindagi gham se sanwarti hai nikharti hai qamar
zindagi ko yunhi aaluda-e-gham rahne de

Ghazal
Saqiya tanz na kar chashm-e-karam rahne de
Qamar Moradabadi