saqi ki har nigah mein sahba thi jam tha
kal shaghl-e-mai-kashi ka hamein izn-e-am tha
hum kushta-e-KHizan sahi ai dosto magar
aasuda-e-bahaar hamara hi nam tha
mere baghair aaj wo kitne hain shadman
jin ko mere firaq mein jina haram tha
dekha jo mai-kade mein use aur baDh gaya
meri nazar mein shaiKH ka jo ehtiram tha
hum be-niyaziyon ka gila tujh se kya karen
ai dost apna jazba-e-ulfat hi KHam tha
un se nazar mili ki nai zindagi mili
un ki nigah-e-naz mein kaisa payam tha
dar-o-rasan ko chum ke qurban ho gaya
'jaanbaz' bil-yaqin ye tera hi kaam tha
Ghazal
Saqi ki har nigah mein sahba thi jam tha
Satyapal Janbaz