اردو हिंदी
Sanson ko karb zist gham-e-be-panah ko | Shaahi Shayari
sanson ko karb zist gham-e-be-panah ko

Ghazal

Sanson ko karb zist gham-e-be-panah ko

Hamdoon Usmani

;

sanson ko karb zist gham-e-be-panah ko
kis kis ko mutmain main karun KHwah-maKHwah ko

suraj ke par dekh sako gar meri tarah
tab ja ke paoge meri hadd-e-nigah ko

main is fareb-gah mein wo aadam-gazida hun
DhunDe hai jo andheron mein ja-e-panah ko

apna na main hua to bhala kaun hai mera
apnae kyun koi kisi gum-karda-rah ko

main hadson ki bhiD mein tanha khaDa hua
aawaz de raha hun kisi KHair-KHwah ko

saya bhi ham-qadam na mera ho isi liye
KHatir mein laya main na kisi intibah ko