sanson ki jal-tarang par naghma-e-ishq gae ja 
ai meri jaan-e-arzu tu yunhi muskurae ja 
husn-e-KHiram-e-naz se jadu nae jagae ja 
jab bhi jahan paDen qadam phul wahin khilae ja 
aag laga ke hans kabhi ban ke ghaTa baras kabhi 
bikhra ke zulf-e-ambarin hosh mere uDae ja 
barson ke baad aankhon mein chhalki hai pyar ki sharab 
band na kar ye mai-kade aise hi bas pilae ja 
masti bhi hai saman bhi hai mahfil-e-dilbaran bhi hai 
aise mein 'tarz' jhum kar rang-e-ghazal jamae ja
        Ghazal
Sanson ki jal-tarang par naghma-e-ishq gae ja
Ganesh Bihari Tarz

