sans lena bhi bar hota hai
jab tera intizar hota hai
aata hai jab bahaar ka mausam
jab junun ustuwar hota hai
zikr kya daman-o-gareban ka
pairahan tar tar hota hai
aap rone se mana karte hain
rone par iKHtiyar hota hai
hai haqiqat yahi ki har chehra
dil ka aaina-dar hota hai
ai mere dil sukun sukun hai magar
intishaar intishaar hota hai
ras aati nahin KHushi us ko
jis ko gham nagawar hota hai
sun ke 'ajiz' wo sar-guzasht meri
jaane kyun ashk-bar hota hai
Ghazal
Sans lena bhi bar hota hai
Ajiz Matvi

