saneha ho ke raha chashm ka murjha jaana
KHwab lagta hai tera KHwab mein bhi aa jaana
aankh ta-der rahi mauja-e-gham-nak mein tar
hasan ka khel tha aaine ko chamka jaana
tu sar-e-baam hawa ban ke guzarta kyun hai
mere malbus ki aadat nahin lahra jaana
dasht ke lab pe hai is qatra-e-naisan ka maza
tu kahan jaan saka main ne tujhe kya jaana
tuKHm bota hai koi hath meri miTTi mein
mujh ko aasan hai bahut chhanw ka phaila jaana
Ghazal
Saneha ho ke raha chashm ka murjha jaana
Shahida Hasan

