sail ke labon par hai dua aur tarah ki
aflak se aati hai sada aur tarah ki
hai zist agar jurm to ai munsif-e-alam
jurm aur tarah ka hai saza aur tarah ki
is dil mein hai mafhum-e-karam aur tarah ka
us dil mein hai tafhim-e-wafa aur tarah ki
phulon ka tabassum bhi wo pahla sa nahin hai
gulshan mein bhi chalti hai hawa aur tarah ki
dete hain faqiron ko saza aaj bhi 'kaifi'
log aur tarah se to KHuda aur tarah ki
Ghazal
Sail ke labon par hai dua aur tarah ki
Iqbal Kaifi