saat-e-hijr jab satati hai
waqt ki nabz ruk si jati hai
chizen apni jagah pe rahti hain
tirgi bas unhen chhupati hai
shor mein jo sadaen dab jaen
KHamushi phir wahi sunati hai
dhup ki aanch hai jo raat gae
chandni ban ke muskuraati hai
husn shayad isi ko kahte hain
jab nazar lauT lauT jati hai
wo meri jit tere nam se thi
han magar haar meri zati hai
chand jab dhup mein nikalta hai
chandni kab nazar mein aati hai
KHwab dekha ho jin ki aankhon ne
subh-e-nau bas unhen bulati hai
Ghazal
Saat-e-hijr jab satati hai
Saeed Naqvi