ruTh jae wo mah-jabin na kahin
lab pe aa jae phir nahin na kahin
hum ne duniya ko chhan mara hai
tujh sa dekha magar hasin na kahin
teri jaanib se mujh ko khaTka hai
ghair ho jae dil-nashin na kahin
shikwa dushman ka karte Darta hun
ho wahi mar-e-astin na kahin
dil ko mere chura ke le jae
wo but-e-sehr-afrin na kahin
ye na kahiye kisi se ulfat se
khaen dhoka yahan hamin na kahin
muddaa dil ka kya kahen us se
hum se bigDe wo naznin na kahin
dil kisi but ke dil se milta hai
ek ho jaen kufr-o-din na kahin
sher kahna samajh ke ai shankar
koi mil jae nukta-chin na kahin

Ghazal
RuTh jae wo mah-jabin na kahin
Shankar Lal Shankar