ruh ko apni tah-e-dam nahin kar sakta
main kabhi subh se yun sham nahin kar sakta
umr-bhar sath to rah sakta hun tere lekin
apni aankhen main tere nam nahin kar sakta
tujh ko itna nahin malum mere bare mein
shart rakh kar main koi kaam nahin kar sakta
mujh pe har ek se mohabbat ki ye tohmat na laga
main ki is jazbe ko yun aam nahin kar sakta
is qadar uljha hua rahta hun KHud se ki 'rawish'
do ghaDi ko bhi main aaram nahin kar sakta
Ghazal
Ruh ko apni tah-e-dam nahin kar sakta
Shamim Ravish