ruh ko aaj naz hai apna waqar dekh kar
us ne chaDhain tewriyan mera qarar dekh kar
qasd-e-gila na tha magar hashr mein shauq-e-josh se
hath mera na ruk saka daman-e-yar dekh kar
dekh ke ek bar unhen dil se to hath dho chuke
dekhiye kya guzarti hai dusri bar dekh kar
aate hain wo to pahle hi ranj se saf ho rahun
aa ke kahin palaT na jaen dil mein ghubar dekh kar
wasl se guzre ai KHuda han ye shugun chahiye
subh ko hum uTha karen ru-e-nigar dekh kar
kaba ko ja na 'shauq' abhi niyyat-e-zindagi ba-KHair
hum bhi chalenge tere sath ab ki bahaar dekh kar

Ghazal
Ruh ko aaj naz hai apna waqar dekh kar
shauq Qidvai