اردو हिंदी
Rut ne riwayat ke ruKH badle har masud saud gaya | Shaahi Shayari
rut ne riwayat ke ruKH badle har masud saud gaya

Ghazal

Rut ne riwayat ke ruKH badle har masud saud gaya

Nasir Shahzad

;

rut ne riwayat ke ruKH badle har masud saud gaya
sadqon se mafqud hue dil mabad se mabud gaya

do faslen do naddi kinare aapas mein kya un ka rishta
ghar mein giri jab imli pak kar bagh se tab amrud gaya

maut mohabbat ki war-mala chita swayamwar aag doshaala
pyar piya ki prit ka pyasa nar anhaar mein kud gaya

chaTi aur chulha sab aundhe be-masraf baiThi hai gori
bhor bhae basti se bik kar shahr ki jaanib dudh gaya

chhoD ke kawita kya kuchh paya dost tujhe aur nam ganwaya
ye din ye sin hue akarat ye jiwan be-sud gaya

rang dukanon ki ranai KHushbu dargahon ki zinat
zulf-e-moambar ab ban ambar sej suhag se ud gaya

sakhiyan sangat dahi pakauDe haali khetiyan khad ke toDe
dur talak in qariyon qasbon barkha ruton ka rud gaya