اردو हिंदी
Rumuz-e-maslahat ko zehn par tari nahin karta | Shaahi Shayari
rumuz-e-maslahat ko zehn par tari nahin karta

Ghazal

Rumuz-e-maslahat ko zehn par tari nahin karta

Aasi Karnali

;

rumuz-e-maslahat ko zehn par tari nahin karta
zamir-e-admiyyat se main ghaddari nahin karta

qalam shaKH-e-sadaqat hai zaban barg-e-amanat hai
jo dil mein hai wo kahta hun adakari nahin karta

main aaKHir aadmi hun koi laghzish ho hi jati hai
magar ek wasf hai mujh mein dil-azari nahin karta

main daman-e-nazar mein kis liye sara chaman bhar lun
mera zauq-e-tamasha bar-bardari nahin karta

mukafat-e-amal KHud rasta tajwiz karti hai
KHuda qaumon pe apna faisla jari nahin karta

mere bachche tujhe itna tawakkul ras aa jae
ki sar par imtihan hai aur tayyari nahin karta

main 'asi' husn ki aaina-dari KHub karta hun
magar main husn ki aaina-bardari nahin karta