ruKH pe bhuli hui pahchan ka Dar to aaya
kam se kam bhiD mein ek shaKHs nazar to aaya
na sahi shahr-e-aman zehan ka kufa hi sahi
ghor jangal ki masafat mein nagar to aaya
kaT gaya mujh se meri zat ka rishta lekin
mujh ko is shahr mein jine ka hunar to aaya
mere sine ki taraf KHud mere naKHun lapke
aaKHir is zaKHm ki Tahni pe samar to aaya
kuchh to soe hue ehsas ke bazu thirke
ab ke pani ka bhanwar ta-ba-kamar to aaya
band kamre ki umas kuchh to shanasa nikli
subh ke sath ka bhaTka hua ghar to aaya
tan ki miTTi mein uga zahr ka pauda chup-chap
mujh mein badli hui duniya ka asar to aaya
Ghazal
RuKH pe bhuli hui pahchan ka Dar to aaya
Nashtar Khaanqahi