roz tabdil hua hai mere dil ka mausam
roz kamre mein mere sard hawa aai hai
fikr ki aanch mein pighle to ye malum hua
kitne pardon mein chhupi zat ki sachchai hai
roz aaankhon mein utar jata hai KHanjar koi
in dinon ahl-e-nazar ko gham-e-binai hai
mere chehre se jo paDh sakte ho paDh lo yaro
dil ki har baat mere lab pe kahan aai hai
apne kandhe pe liye phirti hai ehsas ka bojh
zindagi kya kisi maqtal ki tamannai hai
kyun na 'tanwir' phir izhaar ki jurat kije
KHamushi bhi to yahan bais-e-ruswai hai
Ghazal
Roz tabdil hua hai mere dil ka mausam
Tanveer Samani