rokta hai gham-e-izhaar se pindar mujhe
mere ashkon se chhupa le mere ruKHsar mujhe
dekh ai dasht-e-junun bhed na khulne pae
DhunDne aae hain ghar ke dar-o-diwar mujhe
si diye honT usi shaKHs ki majburi ne
jis ki qurbat ne kiya mahram-e-asrar mujhe
meri aankhon ki taraf dekh rahe hain anjum
jaise pahchan gai ruh-e-shab-tar mujhe
jins-e-virani-e-sahra meri dukan mein hai
kya KHaridega tere shahar ka bazar mujhe
jaras-e-gul ne kai bar pukara lekin
le gai rah se zanjir ki jhankar mujhe
nawak-e-zulm uTha dashna-e-andoh sambhaal
lutf ke KHanjar-e-be-nam se mat mar mujhe
sari duniya mein ghani raat ka sannaTa tha
sehn-e-zindan mein mile subh ke aasar mujhe
Ghazal
Rokta hai gham-e-izhaar se pindar mujhe
Mustafa Zaidi