اردو हिंदी
Riwaq-e-kahkashan se bhi ho aage tak guzar tera | Shaahi Shayari
riwaq-e-kahkashan se bhi ho aage tak guzar tera

Ghazal

Riwaq-e-kahkashan se bhi ho aage tak guzar tera

Farhat Nadir Rizwi

;

riwaq-e-kahkashan se bhi ho aage tak guzar tera
ki tera ishq hai manzil teri azm-e-safar tera

ramida wusaten hun tundi-e-raftar se teri
bari ho tangi-e-afkar se aahu-e-sar tera

zamana Thahar kar puchhe teri raftar-o-surat se
mujhe bhi sath leta chal irada hai kidhar tera

hayat muKHtasar aur be-karani sail-e-imkan ki
raqam hoga sar-e-aflak qissa mo'atabar tera

kisi bahr-e-muhit-e-be-karan ki aarzu mein hai
ye tufanon ki maujon mein sanwarne ka hunar tera

miyan-e-ab-o-gil ek barq hai shoala hai shabnam hai
ye dil ye qatra-e-KHun ye wajud-e-muKHtasar tera

taDap ki justuju ki rah mein ye bhi ibaadat hai
teri har aah-e-sozan hai pyam-e-pur-asar tera

musafir hai masafat ka sila hai aabla-pai
bhala kab sath chhoDegi ye gardish umr-bhar tera

jalan aankhon mein sukhe lab ghubar-e-zindagi ruKH par
thakan ki dastan kahta hai huliya sar-ba-sar tera

kabhi rakh kar kisi zanu pe sar aaram bhi kar li
ghani hai chhanw kyun khulta nahin band kamar tera

charagh-e-arzu ki lau bhaDakne de abhi 'farhat'
wahi tanha shab-e-furqat mein hoga ham-safar tera