rishta kaise TuTta hai KHwab se tabir ka
aao dikhlaun tumhein ye khel bhi taqdir ka
ai musawwir hai yahi hasil teri tahrir ka
husn KHud hi pairahan hai husn ki taswir ka
ban gaya hai istiara husn-e-alam-gir ka
aaina-dar-aina chehra meri tahrir ka
jaise jaise qaid ki miad ghaTti jaegi
tang hota jaega halqa meri zanjir ka
ye kitab-e-dil hai quran-e-mohabbat hai huzur
marhala dar-pesh hai is husn ki tafsir ka
sach agar puchho to mere pir-o-murshid hain yahi
main aqidat-mand hun 'qaisar' janab-e-mir ka

Ghazal
Rishta kaise TuTta hai KHwab se tabir ka
Qaisar Siddiqi