rishta bahaal kash phir us ki gali se ho
ji chahta hai ishq phir usi se ho
KHwahish hai pahunchun ishq ke main us maqam par
jab un ka samna meri diwangi se ho
ab mere sar pe sab ko hansane ka kaam hai
main chahta hun kaam ye sanjidgi se ho
kapDon ki wajh se mujhe kamtar na aankiye
achchha ho meri jaanch-parakh shairi se ho
Ghazal
Rishta bahaal kash phir uski gali se ho
Irshad Khan ’Sikandar’