rindan-e-baada-nosh ki chhagal uTha to la
baad-e-bahaar dauD ke baadal uTha to la
aa umr-e-rafta hashr ke dam-KHam bhi dekh len
tufan-e-zindagi ki wo halchal uTha to la
sar se dayar-e-gham ke sanichar utar de
mangal hai jis mein ja ke wo jangal uTha to la
lalach bata ke dur se waiz ka rang dekh
KHali hi kyun na ho koi botal uTha to la
ai zindagi junun na sahi be-KHudi sahi
tu kuchh bhi apni aql se pagal uTha to la
aati hai yaad subh-e-masarrat ki bar bar
KHurshid aate aate use kal uTha to la
kashti hai ghaT par to chale kyun na daur aaj
kal bas chale chale na chale chal uTha to la
'natiq' junun-e-KHidmat-e-ahbab kis liye
dekhen to kya mila hai tujhe phal uTha to la
Ghazal
Rindan-e-baada-nosh ki chhagal uTha to la
Natiq Gulavthi