rind ki kaenat kya hai KHak
tak wali koi baDa ghar tak
sujhta kya hai tujh ko naseh KHak
wo masal hai ki aaankhon aage nak
pher le jis taraf gharaz chahe
aadmi ban gaya hai mom ki nak
lo junun ki sawari aa pahunchi
mere daman pe chal raha hai chaak
zar-gari aql ki maaz-allah
ab khaTai mein paD gaya idrak
ho gaya sab lihaz adab be-baq
ishq be-tab husn hai bebak
garm-joshi thi aabla-pai
ab na wo tap na wo tapak na tapak
sher mein aa gaya hai ab ilham
lao 'natiq' likhen sapak-o-amak

Ghazal
Rind ki kaenat kya hai KHak
Natiq Gulavthi