rawish mein gardish-e-sayyargan se achchhi hai
zamin kahin ki bhi ho aasman se achchhi hai
jo harf-e-haq ki himayat mein ho wo gum-nami
hazar waza ke nam-o-nishan se achchhi hai
ajab nahin kal usi ki zaban khinchi jae
jo kah raha hai KHamoshi zaban se achchhi hai
bas ek KHauf kahin dil ye baat man na jae
ye KHak-e-ghair hamein aashiyan se achchhi hai
hum aise gul-zadgan ko bahaar-e-yak-saat
nigar-KHana-e-ahd-e-KHazan se achchhi hai
Ghazal
Rawish mein gardish-e-sayyargan se achchhi hai
Iftikhar Arif