اردو हिंदी
Raushni mere charaghon ki dhari rahna thi | Shaahi Shayari
raushni mere charaghon ki dhari rahna thi

Ghazal

Raushni mere charaghon ki dhari rahna thi

Yaqoob Yawar

;

raushni mere charaghon ki dhari rahna thi
phir bhi suraj se meri ham-safri rahna thi

mausam-e-did mein ek sabz-pari ka saya
ab gila kya ki tabiat to hari rahna thi

main ki hun aadam-e-azaim ki riwayat ka naqib
meri shoKHi sabab-e-dar-ba-dari rahna thi

KHwab irfan-e-haqiqat ke tamannai the
zindagi aur meri rahbari rahna thi

aaj bhi zaKHm hi khilte hain sar-e-shaKH-e-nihaal
naKHl-e-KHwahish pe wahi be-samari rahna thi

saz-o-saman-e-tayyush to bahut the 'yawar'
apne hisse mein yahi harf-gari rahna thi