raushni le kar andheri raat mein nikla na kar
raat parde ke liye hai KHud ko be-parda na kar
dahr ka phailaw bhi nuqta nazar aane lage
sher kahta hai to kah itna magar socha na kar
ek din tu bhi kisi tare se Takra jaega
dost mere raat ki galiyon mein yun ghuma na kar
chand bhi utra tha pichhli shab isi talab mein
kyun chamakta hai naha dho kar badan ponchha na kar
aaina chamkae rakh sab kuchh nazar aa jaega
jis ki chahat ho use KHud se juda samjha na kar
dopahar ki lahr chehre ko jhulas degi 'KHalil'
ghar ki ThanDak chhoD kar peDon tale baiTha na kar
Ghazal
Raushni le kar andheri raat mein nikla na kar
Khaleel Rampuri