raushni bhar KHala pe bar the hum
dhund manzar pas-e-ghubar the hum
dhup mein aae to sukun mila
chhanw mein the to daghdar the hum
koi dastak na koi aahaT thi
muddaton wahm ke shikar the hum
but-gari mein hunar bhi shamil tha
sang-sazi se hoshiyar the hum
qarz koi bhi jism o jaan pe na tha
zindagi par magar udhaar the hum
zulmaten to charag-e-KHema thin
KHalwaton ke gunahgar the hum
fikr o mani talazme tashbih
ai ghazal tere jaan-nisar the hum
'rind' tha bekasi ka lutf ajib
ghar mein rah kar bhi be-dayar the hum
Ghazal
Raushni bhar KHala pe bar the hum
P P Srivastava Rind