raunaqen aabaadiyan kya kya chaman ki yaad hain
bu-e-gul ki tarah hum gulshan ke KHana-zad hain
jalwa-farmai ka muzhda kis ne bheja hai ki aaj
dida-o-dil ham-digar sarf-e-mubarakbaad hain
kis ki mizhgan ne hamare sath kawish ki shurua
KHun ke qatre ragon mein nashtar-e-fassad hain
yan raza mahbub ki manzur-e-KHatir hai faqat
wasl ho ya hijr ho har amr mein hum shad hain
kar chuka 'aishi' tawaf-e-KHana-e-kaba ka qasd
jab talak hindostan ka mai-kada aabaad hai

Ghazal
Raunaqen aabaadiyan kya kya chaman ki yaad hain
Talib Ali Khaan Aishi