اردو हिंदी
Raunaq hi nahin uski hum ruh-o-rawan bhi hain | Shaahi Shayari
raunaq hi nahin uski hum ruh-o-rawan bhi hain

Ghazal

Raunaq hi nahin uski hum ruh-o-rawan bhi hain

Akhtar lakhnvi

;

raunaq hi nahin us ki hum ruh-o-rawan bhi hain
lekin hamein duniya ki KHatir pe garan bhi hain

ek tere hi kuche par mauquf nahin hai kuchh
har gam hain taziren hum log jahan bhi hain

gulchin ko nahin shayad is raaz se aagahi
shabnam mein nahae gul shoalon ki zaban bhi hain

khate the qasam jin ke kirdar-o-amal ki hum
shamil saf-e-ada mein wo ham-nafasan bhi hain

sach kahte ho hum aise zarron ki haqiqat kya
ab kaun kahe tum se hum sang-e-giran bhi hain