raunaq-e-arz-o-sama shams o qamar main hi hun
ghaur se dekhiye ta-hadd-e-nazar main hi hun
ho liye sare tamashai kisi manzil ke
rah gaya main so sar-e-rahguzar main hi hun
mujh se mat puchh ki kis tarah se ujDi basti
mujh ko bas dekh le rudad-o-KHabar main hi hun
main bhi muhtaj-e-masihai tera hun lekin
mat idhar aa ki meri jaan idhar main hi hun
mere malbus hain kim-KHwab ke paiwand lage
KHwab mein sham ka tabir-e-sahar main hi hun
kashtiyan likhti rahen roz kahani apni
mauj kahti hi rahi zer-o-zabar main hi hun
wusat-e-kargah-e-shisha-gari maaz-allah
KHak main jam bhi main dast-e-hunar main hi hun
Ghazal
Raunaq-e-arz-o-sama shams o qamar main hi hun
Muzaffar Abdali