rau bhaTakne lage jab KHayalat ki
manzilen hain wahin par kamalat ki
kis liye aae puchha hamein kis liye
kya KHabar ho gai un ko haalat ki
hum to chup rah gae kuchh kaha bhi nahin
muskura kar agar us ne kuchh baat ki
hai tajjub ki daman bhigoya nahin
aansuon ki magar us ne barsat ki
pyar hi pyar ho koi matlab na ho
qadr lekin kahan aise jazbaat ki
jin ko pa kar 'wasiya' na phir kho sake
hai talash aaj bhi aise lamhat ki
Ghazal
Rau bhaTakne lage jab KHayalat ki
Fatima wasia Jayasi