raste mein luT gaya hai to kya qafila to hai
yaro nae safar ka abhi hausla to hai
wamandgi se uTh nahin sakta to kya hua
manzil se aashna na sahi naqsh-e-pa to hai
hathon mein hath le ke yahan se guzar chalen
qadmon mein pul-siraat sahi rasta to hai
mange ki raushni to koi raushni nahin
is daur-e-mustaar mein apna diya to hai
ye kya zarur hai main kahun aur tu sune
jo mera haal hai wo tujhe bhi pata to hai
apni shikayaten na sahi tera gham sahi
izhaar-e-dastan ka koi silsila to hai
hum se koi talluq-e-KHatir to hai use
wo yar ba-wafa na sahi bewafa to hai
wo aae ya na aae mulaqat ho na ho
rang-e-sahar ke pas KHiram-e-saba to hai
panw ki chap se meri dhaDkan hai ham-nawa
is dasht-e-haul mein koi naghma-sara to hai
suraj hamare ghar nahin aaya to kya hua
do-chaar aanganon mein ujala hua to hai
kanTa nikal bhi jaega jab waqt aaega
kanTe ke dil mein bhi koi kanTa chubha to hai
main reza reza uDta phirunga hawa ke sath
sadiyon mein jhank kar bhi mujhe dekhna to hai
aashob-e-agahi ki shab-e-be-kanar mein
tere liye 'jamil' koi sochta to hai
Ghazal
Raste mein luT gaya hai to kya qafila to hai
Jameel Malik