اردو हिंदी
Rasta bhi teri samt tha ghar teri taraf tha | Shaahi Shayari
rasta bhi teri samt tha ghar teri taraf tha

Ghazal

Rasta bhi teri samt tha ghar teri taraf tha

Khwaja Razi Haidar

;

rasta bhi teri samt tha ghar teri taraf tha
ab ja ke khula mera safar teri taraf tha

aangan tha mera aur na dar-o-baam the mere
main dhup mein tha saya-e-dar teri taraf tha

mahfil tujhe bas chhoD ke jaane ke liye thi
ek main hi faqat KHak-basar teri taraf tha

ujlat mein na kar tark-e-talluq ki shikayat
dil teri taraf yaad to kar teri taraf tha

aaine mein aur aab-e-rawan mein tha tera aks
shayad ki mera dida-e-tar teri taraf tha

tu mausam-e-gul mein bhi gurezan raha mujh se
main shaKH-e-burida tha magar teri taraf tha

main tere hawale se raha shahr mein matub
jo mera hunar tha wo hunar teri taraf tha